Wednesday, August 10, 2016

#Durood E Shareef Ki Fazilat


Ahle Sunnat Wal Jammat.

Durood e Paak ki Fazilat.

Thanda paani Aagh ko jis tarah se jaldi bujha deta hai ,

Durood Shareef ka padhna gunahou ko us se bhi jaldi mita deta hai.

(Hazrath Abu Bakar Siddiq raziallahu taala anhu)



Quran-e-Kareem 0 Furqan-e-Hameed
ke para number 22 ke 4th ruku ki
ayat
ek ayat hai
{ IN-AL-ALLAHA WAMALAIKATAHU
YUSALUNA AL AN NABI YA-AYU HAL LAZINA
AMANU SALU ALEYHI WASALIMU
TASLEEMA }
TRANSLATION :-
BESHAK ALLAH TA’ALA AUR USKE
FARISHTE NABI (Sallallahu alaihi wasallam) PAR DAROOD BHEJTE HAI
AYE IMAAN WALO TUM BHI UN PAR
KHOOB
DAROOD 0 SALAM BHEJA KARO !


[1] Darood gunaho ka kafara hai
[2] Darood se amal pak hota hai
[3] Darood padhne se darajat buland
hote hai
[4] Darood padhne ke liye ek qirat ajar
likha jata jo ke uhud pahad
jitna hota hai
[5] Darood padhne wale ko pemane bhar bhar ke sawab milta hai
[6]Jo shakash darood ko hi apna
wazeefa bana leta hai Allah pak us ke
duniya aur aakhirat ke kaam apne
zime le leta hai
[7] Darood padhne ka sawab ghulam azad karne se bhi afzal hai
[8] Darood padhne wala har kisam ke
haulo se nijat pata hai
[9] Waliye do jahan nabi (Salallaho
Alehi Wassalam) darood padhne wale
ke imaan ki khud gawahi denge [10] Darood padhne wale par Aqa do
jahan ki shifa’at wajib hojati hai
[11] Darood padhne wale ke liye Allah
Ta’ala ki raza aur rehmat likh
di jaati hai


[12] Allah Ta’ala ke ghazab se aman likh diya jata hai
[13] Us ki peshani pe likh diya jata hai
ke yeh nifaq se bari hai
[14] Likh diya jata hai ke yeh dozakh
se bari hai
[15] Darood padhne wale ko roz-e- hashar Arsh-e-Ilahi Ke neeche jagah
di jayegi
[16] Darood padhne wale ki nekiyoun
ka pallada wazani hoga
[17] Darood padhne wale ke liye jab
woh Hoz-e-Kausar par jayega tab khasosi inayat hogi
[18] Darood padhne wala qayamat ke
din sakhat pyaas se aman mai hoga
[19] Woh pul siraat se tezi aur asani se
guzar jayega
[20] Pul sirat par use noor ata hoga
[21] Darood padhne wala maut se
pehle apna muqam jannat mai dekh
leta hai
[22] Darood ki barkat se maal badhta
hai
[23] Darood padhna ibadat hai [24] Darood padhna Allah Ta’ala ko
humaresab amalo se zayada pyara hai
[25] Darood pak majliso ki zeenat hai
[26] Darood pak tangdasti ko dur
karta hai
[27] Jo darood padhe ga woh roz-e- hashar Madani aqa ke sab se zayada
qareeb hoga
[28] Darood agar padh kar kisi
marhoom ko bakhsha jaye to use bhi
nafa deta hai
[29] Darood padhne se Allah Ta’ala aur uske habib ka qurb naseeb hota
hai
[30] Darood padhne se dushmano par
fatahaur nusrat hasil hoti hai
[31] Darood padhne wale ka dil zang
se pakhojata hai [32] Darood pak padhne wale
shakash se log mohabbat karte hai
[33] Darood padhne wala logo ki
ghibat se mehfooz rehta hai
[34] Sab se badi naimat darood
padhne ki yeh hai ke use khawab mai pyaare pyaare aqa ki ziyarat hoti hai
JUZB AL QALUB MAI DARJA-E-ZIL
FAZAIL BAYAN HAI
[35] Ek bar darood padhne se 10
gunah maaf hote hai 10 nekiyan milti
hai 10 darjebuland hote hai 10 rehmate naazil hoti hai
[36] Darood padhne wale ki dua
hamesha qabul hoti hai
[37] Darood padhne wale ka kandha
(shoulder) jannat ke darwaze par nabi
(Salallaho Alehi Wassalam) ke kandhe mubarak ke saath chu (touch)
jayega SUBHAN ALLAH
[38] Darood padhne wala qayamat ke
din sab se pehle aqa ke pas pohanch
jayega
[39] Darood padhne wale ke sare kamoun ke liye qayamat ke din inayat
hogi
[40] Darood padhna duniya aur
aakhirat kehar dar 0 gham ka wahid
elaz hai
[41] Darood ruhaniyat ke khazane ki chabbi hai
[42] Darood pak aashiqo ki meeraj hai
[43] Darood pak padhna munafa he
munafa hai aur yeh munafa darood
padhne wale ko jannat tak pohancha
deta hai [44] Darood pak Allah Ta’ala ki narazgi
se bachne ka asan amal hai
[45] Darood ek aisi ibadat hai jis ka
faida usi ki taraf laut ta hai
jo isko padhta hai
[46] Darood pak padhna aisa hai ke jesa apni zaat ke liye dua karna hai
[47] Darood pak padhne wala ruhaani
taur par tarbiyat-e-Muhammad
(Salallaho Alehi Wassalam) mai hota
hai
[48] Darood ki kasrat karna ahl-e- sunnat kiallamat hai
[49] Darood padhne wala har majlis
mai zaib 0 zeenat hasil karta hai
[50] Darood pak padhne wale ko
baroz-e-hashar maidan-e-hashar mai
jannat ki rahein khuli milengi Inshallah
[51] Darood pak padhne wale ke
badan se khusbu aaya karegi
[52] Darood padhne wale ko hamesha
neki karne ki khawahish raha karegi
[53] Darood padhne wale ka naam bargaherisalat mai liya jayega
[54] Darood padhne wala marne tak
imaanpar qaim rahega
[55] Darood padhne wale ke liye
zameen 0 aasman walo ki duaein
waqaf rahengi [56] Darood pak padhne wale ko zaat
mai aamal mai umar mai aulaad mai
aur maal 0 asbab mai barkat hogi jiske
4 pushto tak aasar zahir honge
[57] Darood padne wale ka ghar
roshan rahega [58] Darood padhne wale ka chehra
purnur aur guftar mai halawat hogi
[59] Darood pak padhnewale ki majlis
mai bethne wale ki majlis mai log
khush honge
[60] Darood pak padhne wale ki daawat kasawab 10 gune hoga
[61] Darood padhne wala farishto ka
imambanega
[62] Darood padhne wala Huzur ki
qaul 0 fail ki itaba karega
[63] Darood pak padhne wale ki kashti toofano se Inshallah par hogi
[64] Darood padhne wala hamesha
naik hidayat hasil karega
[65] Darood pak padhne wala thode
hi arsemai ghani hojata hai
[66] Darood padhne wala duniya mai maroof hojata hai
[67] Darood padhne wale shakash ki
zuban se maidan-e-hashar mai noor
ki kiranein nikalen gi
[68] Darood pak se aankho ko noor
milta hai [69] Darood se sehat barqarar rehti hai
[70] Darood se aqa ki mohabbat ka
jazba aur badhta hai
[71] Darood padhne wale ko kisi ki
mohtajina hogi
[72] Jaan asani se niklegi [73] Qabar mai wusa’at hogi
[74] Niza ka waqat asan hoga
[75] Tamam kam asan ho jayenge
MAJLIS MAKTAB AL-MADINA KE
RASALE ZAYA DAROOD 0 SALAM
RISALA # 13 MAI DARJA-E-ZIL FAWAID BAYAN HAI
[76] Musalman jab tak mujh par
darood padhta hai farishte us par
rehmat bhejte rehte hai ab yeh insaan
ki marzi hai ke kam le ya zayada
[77] Namaz ke baad hamd 0 sana 0 darood padhne wale se kaha jata hai
“DUA MANG QABOOL KI JAYEGI SAWAL
KAR DIYA JAYEGA”
[78] Jibrail (A.S) ne mujh se arz kiya ke
Rab Ta’ala farmata hai aye
Muhammad (s.a.w) kya tum is baat pe raazi nahi ke tumhara ummati tum
par ke salam bheje mai us par10 salam
bhejoun
[79] Jis ne mujh par 10 martaba
darood padha Allah us par 100
rehmatein nazil karta hai [80] Jis ne mujh par 100 martaba
darood bheja Allah Ta’ala uski dono
aankho ke darmayan yeh likh deta hai
ke yeh nifaq aur jahanum ki aag
se azad hai aur use baroz-e-qayamat
shuhada ke saath rakhega [81] Jo mujh par ek din mai 1000
martaba darood padhega woh us
waqat
tak nahi marega jab tak ke woh apna
muqam jannat mai na dekh le

[82] Jis ne din aur raat mai shoq 0 mohabbat ki waja se mujh par 3 /3
martaba darood padha to HaqTa’ala
us ke us din aur raat ke gunah
bakash deta hai
[83] Beshak tumhare naam bama
shinakhat mujh par pesh kiye jaate hai lihaza mujh par ehsan yaani
khoobsoorat alfaz mai darood padho
[84] Beshak hazrat jibreel (A.S) ne
mujhe basharat di ke “jo Aap
(Salallaho Alehi Wassalam) par darood
padhta hai Allah Ta’ala us par rehmat bhejta hai aur jo Aap (Salallaho
Alehi Wassalam) par salam
padhta hai Allah us par Salamti bhejta
hai
[85] Mujh par darood ki kasrat karo
beshakyeh tumhare liye taharat hai [86] Allah pak ki khatir aapas mai
mohabbat rakhne wale jab baham
mile
aurmusahfa kare aur nabi par darood
bheje toun ke juda hone se pehle
un ke agle pichle gunah baksh diye jaate hai
[87] Jis ne kitab mai mujh par darood
likha to jab tak mera naam us
mai rahega farishte us ke liye astagfar
Image result for flash durood picskarte rahenge
[88] Aye logo beshak qayamat ke din uski dehshaton aur hisab kitab se
jald nijat hogijis ne duniya mai kasrat
se darood padha
[89] Jis ko yeh pasand ho ke Allah
Ta’ala ki bargah mai pesh hote
waqat Allah us se Raazi ho to use chaiye ke woh darood ki kasrat kare
[90] FARZ hajj karo beshak us ka ajar
20 ghazwat mai shirkat karne se
zayada hai aur Mujh par 1 martaba
durood padhna us ke barabar hai
[91] Jo mujh par din mai 100 martaba darood padhega Allah Ta’ala us ki
100 hajatpuri farmayega
[92] Beshak mujh par darood padho
mai tamam jahano ke rab ka rasool
houn
[93] Darood shareef padhna tumhare liye qayamat mai noor hoga
[94] CHAMAKTI RAAT [SHAB-E- JUMA]
AUR ROSHAN DIN [JUME KA DIN]{YANI
JUMERAAT KA AFTAB GHAROOB HONE
SE JUME KA SOORAJ DOOBNE TAK}MUJH
PAR DAROOD KI KASRAT KARO JO AISA
KAREGA QAYAMAT KE DIN MAI US KA
SHA’AFI
AUR GAWAH BANOUGA Inshallah
[96] Jo jumah ke din mujh par 80 bar
darood bhejega uske 80 saal ke gunah maaf honge Inshallah
[97] Jo shaksh Jumah ke din Mujh par
100 martaba darood padhega to
qayamat ke din jab woh aayega to us
ke saath ek aisa noor hoga ke agar
woh saari makhloq ko taqseem kar diya jaye to woh sab ko kifayat kare
[98] Jis ne Juma ke din mujh par 200
martaba darood padha Allah Ta’ala
us ke 200 saal ke gunah maaf
farmayega Inshallah
[99] Jumeraat aur shab-e-jumah ko jo mujhpar 100 martaba darood
padhega to Allah Ta’ala uski 100
hajatein poori karega jis mai Se 70
Akhirat ki Aur 30 duniya ki Inshallah
[100] FARMANE-ABDULLAH-IBN-
UMAR-0 BIN-AAS (R.A) HAI “jo nabi pak par
ke baar darood padhe to Allah Ta’ala
aur malaika us par 70 martaba
rehmat bheje”

Follow more Islamic Posts